Surah Al-Baqara Verse 85 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraثُمَّ أَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ تَقۡتُلُونَ أَنفُسَكُمۡ وَتُخۡرِجُونَ فَرِيقٗا مِّنكُم مِّن دِيَٰرِهِمۡ تَظَٰهَرُونَ عَلَيۡهِم بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَإِن يَأۡتُوكُمۡ أُسَٰرَىٰ تُفَٰدُوهُمۡ وَهُوَ مُحَرَّمٌ عَلَيۡكُمۡ إِخۡرَاجُهُمۡۚ أَفَتُؤۡمِنُونَ بِبَعۡضِ ٱلۡكِتَٰبِ وَتَكۡفُرُونَ بِبَعۡضٖۚ فَمَا جَزَآءُ مَن يَفۡعَلُ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ إِلَّا خِزۡيٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يُرَدُّونَ إِلَىٰٓ أَشَدِّ ٱلۡعَذَابِۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kiya aur aapas kay aik firqay ko jila watan bhi kiya aur gunah aur ziyadti kay kaamon mein inn kay khilaf doosray ki taraf daari ki haan woh jab qaidi ho ker tumharay pass aaye to tum ney unn kay fidye diye lekin inn ka nikalna jo tum per haram tha (uss ka kuch khayal na kiya) kiya baaz ehkaam per eman rakhtay ho aur baaz kay sath kufur kertay ho? Tum mein say jo bhi aisa keray uss ki saza iss kay siwa kiya ho kay duniya mein ruswaee aur qayamat kay din sakht azab ki maar aur Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi