Surah Al-Baqara Verse 85 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraثُمَّ أَنتُمۡ هَـٰٓؤُلَآءِ تَقۡتُلُونَ أَنفُسَكُمۡ وَتُخۡرِجُونَ فَرِيقٗا مِّنكُم مِّن دِيَٰرِهِمۡ تَظَٰهَرُونَ عَلَيۡهِم بِٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَإِن يَأۡتُوكُمۡ أُسَٰرَىٰ تُفَٰدُوهُمۡ وَهُوَ مُحَرَّمٌ عَلَيۡكُمۡ إِخۡرَاجُهُمۡۚ أَفَتُؤۡمِنُونَ بِبَعۡضِ ٱلۡكِتَٰبِ وَتَكۡفُرُونَ بِبَعۡضٖۚ فَمَا جَزَآءُ مَن يَفۡعَلُ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ إِلَّا خِزۡيٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يُرَدُّونَ إِلَىٰٓ أَشَدِّ ٱلۡعَذَابِۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Magar aaj wahi tum ho ke apne bhai bandhon ko qatal karte ho, apni biradri ke kuch logon ko be-khanuma (be-ghar) kardete ho, zulm o zyadati ke saath unke khilaf jatthey bandiyan (grouping / cooperating) karte ho , aur jab woh ladayi mein pakde huey tumhare paas aate hain to unki rihayi ke liye fidiye ka lein dain karte ho, halaanke unhein unke gharon se nikalna hi seray se tumpar haraam tha. To kya tum kitab ke ek hissey par iman latey ho aur dusre hissey ke saath kufr karte ho? Phir tum mein se jo log aisa karein unki saza iske siwa aur kya hai ke duniya ki zindagi mein zaleel o khwar hokar rahein aur aakhirat mein shadeed-tareen azaab ki taraf pher diye jayein? Allah un harkaat se be-khabar nahin hai jo tum kar rahey ho