Surah Al-Baqara Verse 219 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqara۞يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡخَمۡرِ وَٱلۡمَيۡسِرِۖ قُلۡ فِيهِمَآ إِثۡمٞ كَبِيرٞ وَمَنَٰفِعُ لِلنَّاسِ وَإِثۡمُهُمَآ أَكۡبَرُ مِن نَّفۡعِهِمَاۗ وَيَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَا يُنفِقُونَۖ قُلِ ٱلۡعَفۡوَۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَتَفَكَّرُونَ
Log aap say sharab aur juye ka masla poochtay hain aap keh dijiye inn dono mein boht bara gunah hai aur logon ko iss say dunyawi faeeda bhi hota hai lekin inn ka gunah unn kay nafay say boht ziyada hai. Aap say yeh bhi daryaft kertay hain kay kiya kuch kharach keren? To aap keh dijiye hajat say zaeed cheez, Allah Taalaa issi taraf apney ehkaam saaf saaf tumharay liye biyan farma raha hai takay tum soch samajh sako