Surah Al-Baqara Verse 219 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqara۞يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡخَمۡرِ وَٱلۡمَيۡسِرِۖ قُلۡ فِيهِمَآ إِثۡمٞ كَبِيرٞ وَمَنَٰفِعُ لِلنَّاسِ وَإِثۡمُهُمَآ أَكۡبَرُ مِن نَّفۡعِهِمَاۗ وَيَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَا يُنفِقُونَۖ قُلِ ٱلۡعَفۡوَۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَتَفَكَّرُونَ
Puchte hain : sharab aur juwey (gambling) ka kya hukum hai? Kaho: in dono cheezon mein badi kharabi hai agarchey inmein logon ke liye kuch munafey bhi hai, magar unka gunaah unke faiyde se bahut zyada hai. Puchte hain: hum raah e khuda mein kya kharch karein? Kaho: jo kuch tumhari zaroorat se zyada ho, is tarah Allah tumhare liye saaf saaf ehkaam bayaan karta hai, shayad ke tum duniya aur aakhirat dono ki fikr karo