Surah Al-Baqara Verse 220 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraفِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۗ وَيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡيَتَٰمَىٰۖ قُلۡ إِصۡلَاحٞ لَّهُمۡ خَيۡرٞۖ وَإِن تُخَالِطُوهُمۡ فَإِخۡوَٰنُكُمۡۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ ٱلۡمُفۡسِدَ مِنَ ٱلۡمُصۡلِحِۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَأَعۡنَتَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Puchte hain : yateemon ke saath kya maamla kiya jaye? Kaho: jis tarz e amal mein unke liye bhalayi ho wahi ikhtiyar karna behtar hai. Agar tum apna aur unka kharch aur rehna sehna mushtarik (mix) rakkho to ismein koi muzahiqa nahin, aakhir woh tumhare bhai bandh hi to hain. Burayi karne waley aur bhalayi karne waley dono ka haal Allah par roshan hai, Allah chahta to is maamle mein tumpar sakhti karta, magar woh sahib e ikhtiyar honay ke saath sahib e hikmat bhi hai