Surah Al-Baqara Verse 221 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَلَا تَنكِحُواْ ٱلۡمُشۡرِكَٰتِ حَتَّىٰ يُؤۡمِنَّۚ وَلَأَمَةٞ مُّؤۡمِنَةٌ خَيۡرٞ مِّن مُّشۡرِكَةٖ وَلَوۡ أَعۡجَبَتۡكُمۡۗ وَلَا تُنكِحُواْ ٱلۡمُشۡرِكِينَ حَتَّىٰ يُؤۡمِنُواْۚ وَلَعَبۡدٞ مُّؤۡمِنٌ خَيۡرٞ مِّن مُّشۡرِكٖ وَلَوۡ أَعۡجَبَكُمۡۗ أُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡعُونَ إِلَى ٱلنَّارِۖ وَٱللَّهُ يَدۡعُوٓاْ إِلَى ٱلۡجَنَّةِ وَٱلۡمَغۡفِرَةِ بِإِذۡنِهِۦۖ وَيُبَيِّنُ ءَايَٰتِهِۦ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Tum mushrik auraton se hargiz nikah na karna jab tak ke woh iman na le aayein, ek momin laundi (slave) mushrik sharif-zaadi se behtar hai agarche woh tumhein bahut pasand ho, aur apni auraton ke nikah mushrik mardon se kabhi na karna jab tak ke woh iman na le aayein. Ek momin ghulam mushrik sharif se behtar hai agarche woh tumhein bahut pasand ho. Yeh log tumhein aag ki taraf bulate hain aur Allah apne izan se tumko jannat aur magfirat ki taraf bulata hai, aur woh apne ehkaam wazey taur par logon ke saamne bayan karta hai, tawaqqu hai ke woh sabaq lenge aur naseehat qabool karenge