Surah Al-Baqara Verse 221 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraوَلَا تَنكِحُواْ ٱلۡمُشۡرِكَٰتِ حَتَّىٰ يُؤۡمِنَّۚ وَلَأَمَةٞ مُّؤۡمِنَةٌ خَيۡرٞ مِّن مُّشۡرِكَةٖ وَلَوۡ أَعۡجَبَتۡكُمۡۗ وَلَا تُنكِحُواْ ٱلۡمُشۡرِكِينَ حَتَّىٰ يُؤۡمِنُواْۚ وَلَعَبۡدٞ مُّؤۡمِنٌ خَيۡرٞ مِّن مُّشۡرِكٖ وَلَوۡ أَعۡجَبَكُمۡۗ أُوْلَـٰٓئِكَ يَدۡعُونَ إِلَى ٱلنَّارِۖ وَٱللَّهُ يَدۡعُوٓاْ إِلَى ٱلۡجَنَّةِ وَٱلۡمَغۡفِرَةِ بِإِذۡنِهِۦۖ وَيُبَيِّنُ ءَايَٰتِهِۦ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُونَ
Aur shirk kerney wali aurton say tawaqt-e-kay woh eman na layen tum nikkah na kero eman walo londi bhi shiek kerney wali aazad aurat say boht behtar hai go tumhen mushrika hi achi lagti ho aur na shirk kerney walay mardon kay nikkah mein apni aurton ko do jab tak woh eman na layen eman wala ghulam aazad mushrik say behtar hai go mushrik tumhen acha lagay. Yeh log jahannum ki taraf bulatay hain aur Allah jannat ki taraf aur apni bakshish ki taraf apney hukum say bulata hai woh apni aayaten logon kay liye biyan farma raha hai takay woh naseehat hasil keren