Surah Al-Baqara Verse 96 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraوَلَتَجِدَنَّهُمۡ أَحۡرَصَ ٱلنَّاسِ عَلَىٰ حَيَوٰةٖ وَمِنَ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْۚ يَوَدُّ أَحَدُهُمۡ لَوۡ يُعَمَّرُ أَلۡفَ سَنَةٖ وَمَا هُوَ بِمُزَحۡزِحِهِۦ مِنَ ٱلۡعَذَابِ أَن يُعَمَّرَۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
Bulkay sab say ziyada duniya ki zindagi ka harees aey nabi! Aap enhin ko paayen gay. Yeh hirs-e-zindagi mein mushrikon say bhi ziyada hai inn mein say to her shaks aik aik hazar saal ki umar chahata hai go yeh umar diya jana bhi enhen azab say nahi chura sakta Allah Taalaa inn kay kaamon ko bakhoobi dekh raha hai