Surah Al-Baqara Verse 96 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَلَتَجِدَنَّهُمۡ أَحۡرَصَ ٱلنَّاسِ عَلَىٰ حَيَوٰةٖ وَمِنَ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْۚ يَوَدُّ أَحَدُهُمۡ لَوۡ يُعَمَّرُ أَلۡفَ سَنَةٖ وَمَا هُوَ بِمُزَحۡزِحِهِۦ مِنَ ٱلۡعَذَابِ أَن يُعَمَّرَۗ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
Tum inhein sabse badh kar jeene ka harees paogey hatta ke yeh is maamle mein mushrikon se bhi badey huey hain . Inmein se ek ek shaks yeh chahta hai ke kisi tarah hazaar baras jiye, halaanke lambi umar bahar haal usey azaab to dur nahin phenk sakti. Jaise kuch aamaal yeh kar rahey hain, Allah to inhein dekh hi raha hai