Surah Al-Baqara Verse 213 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraكَانَ ٱلنَّاسُ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ فَبَعَثَ ٱللَّهُ ٱلنَّبِيِّـۧنَ مُبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَ وَأَنزَلَ مَعَهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَ ٱلنَّاسِ فِيمَا ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِۚ وَمَا ٱخۡتَلَفَ فِيهِ إِلَّا ٱلَّذِينَ أُوتُوهُ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۖ فَهَدَى ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَا ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ مِنَ ٱلۡحَقِّ بِإِذۡنِهِۦۗ وَٱللَّهُ يَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٍ
Dar-asal log aik hi giroh thay Allah Taalaa ney nabiyon ko khushkhabri denay aur daraney wala bana ker bheja aur unn kay sath sachi kitaben nazil farmaeen takay logon kay her ikhtilafi amar ka faisla hojaye. Aur sirf unhi logon ney jinhen kitab di gaee thi apney pass dalaeel aa chukney kay baad aapas kay bughz-o-aeynaad ki waja say iss mein ikhtilaf kiya iss liye Allah pak ney eman walon ki iss ikhtilaf mein bhi haq ki taraf apni mashiyat say rehbari ki aur Allah jiss ko chahaye seedhi raah ki taraf rehbari kerta hai