Surah Al-Baqara Verse 213 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraكَانَ ٱلنَّاسُ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ فَبَعَثَ ٱللَّهُ ٱلنَّبِيِّـۧنَ مُبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَ وَأَنزَلَ مَعَهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَ ٱلنَّاسِ فِيمَا ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِۚ وَمَا ٱخۡتَلَفَ فِيهِ إِلَّا ٱلَّذِينَ أُوتُوهُ مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَٰتُ بَغۡيَۢا بَيۡنَهُمۡۖ فَهَدَى ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَا ٱخۡتَلَفُواْ فِيهِ مِنَ ٱلۡحَقِّ بِإِذۡنِهِۦۗ وَٱللَّهُ يَهۡدِي مَن يَشَآءُ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٍ
Ibtida mein sab log ek hi tareeqe par thay (phir yeh haalat baqi na rahi aur ikhtilafaat runuma huey) tab Allah ne Nabi bheje jo raast rawi par basharat dene waley aur kajhrawi ke nataij se darane waley thay, aur unke saath kitab e bar haqq nazil ki taa-ke haqq ke barey mein logon ke darmiyan jo ikhtilafaat runuma ho gaye thay unka faisla karey. (Aur in ikhtilafaat ke runuma honay ki wajah yeh na thi ke ibtidaa mein logon ko haqq bataya nahin gaya tha, nahin) ikhtilaf un logon ne kiya jinhein haqq ka ilm diya (ja) chuka tha, unhon ne roshan hidayaat paa lene ke baad mehaz isliye haqq ko chodh kar mukhtalif tareeqe nikale ke woh aapas mein zyadati karna chahte thay, pas jo log ambiya par iman le aaye unhein Allah ne apne izan se us haqq ka raasta dikha diya jismein logon ne ikhtilaf kiya tha, Allah jisey chahta hai raah e raast dikha deta hai