Surah Al-Baqara Verse 212 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraزُيِّنَ لِلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَيَسۡخَرُونَ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۘ وَٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ فَوۡقَهُمۡ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ وَٱللَّهُ يَرۡزُقُ مَن يَشَآءُ بِغَيۡرِ حِسَابٖ
Jin logon ne kufr ki raah ikhtiyar ki hai unke liye duniya ki zindagi badi mehboob o dil pasand bana di gayi hai, aisey log iman ki raah ikhtiyar karne walon ka mazaq udhate hain, magar qayamat ke roz parheizgaar log hi unke muqable mein aali muqaam honge, raha duniya ka rizq, to Allah ko ikhtiyar hai jisey chahe be-hisaab de