Surah Al-Baqara Verse 214 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraأَمۡ حَسِبۡتُمۡ أَن تَدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ وَلَمَّا يَأۡتِكُم مَّثَلُ ٱلَّذِينَ خَلَوۡاْ مِن قَبۡلِكُمۖ مَّسَّتۡهُمُ ٱلۡبَأۡسَآءُ وَٱلضَّرَّآءُ وَزُلۡزِلُواْ حَتَّىٰ يَقُولَ ٱلرَّسُولُ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥ مَتَىٰ نَصۡرُ ٱللَّهِۗ أَلَآ إِنَّ نَصۡرَ ٱللَّهِ قَرِيبٞ
Phir kya tum logon ne yeh samajh rakkha hai ke yunhi jannat ka daakhila tumhein mil jayega, halaanke abhi tumpar woh sab kuch nahin guzra hai jo tumse pehle iman laney walon par guzar chuka hai? Unpar sakhtiyan guzri, museebatein aayi, hila maarey gaye, hatta ke waqt ka Rasool aur uske saathi ehle iman cheekh utthey ke Allah ki madad kab aayegi, us waqt unhein tasalli di gayi ke haan Allah ki madad qareeb hai