Surah Al-Baqara Verse 264 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُبۡطِلُواْ صَدَقَٰتِكُم بِٱلۡمَنِّ وَٱلۡأَذَىٰ كَٱلَّذِي يُنفِقُ مَالَهُۥ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۖ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ صَفۡوَانٍ عَلَيۡهِ تُرَابٞ فَأَصَابَهُۥ وَابِلٞ فَتَرَكَهُۥ صَلۡدٗاۖ لَّا يَقۡدِرُونَ عَلَىٰ شَيۡءٖ مِّمَّا كَسَبُواْۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aey eman walon apni kheyraat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata