Surah Al-Baqara Verse 264 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُبۡطِلُواْ صَدَقَٰتِكُم بِٱلۡمَنِّ وَٱلۡأَذَىٰ كَٱلَّذِي يُنفِقُ مَالَهُۥ رِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَلَا يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۖ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ صَفۡوَانٍ عَلَيۡهِ تُرَابٞ فَأَصَابَهُۥ وَابِلٞ فَتَرَكَهُۥ صَلۡدٗاۖ لَّا يَقۡدِرُونَ عَلَىٰ شَيۡءٖ مِّمَّا كَسَبُواْۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aey iman laney walon! Apne sadaqat ko ehsan jata kar aur dukh dekar us shaks ki tarah khaakh mein na mila do, jo apna maal mehaz logon ke dikhane ko kharch karta hai aur na Allah par iman rakhta hai na aakhirat par, uske kharch ki misaal aisi hai jaise ek chattan (rock) thi, jispar mitti ki teh jami hui thi, ispar jab zoar ka meh (barish) barsa, to saari mitti bhi gayi aur saaf chattan ki chattan reh gayi, aisey log apne nazdeek khayraat karke jo neki kamate hain, ussey kuch bhi unke haath nahin aata, aur kaafiron ko seedhi raah dikhana Allah ka dastoor nahin hai