Surah Al-Baqara Verse 265 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَمَثَلُ ٱلَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمُ ٱبۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِ ٱللَّهِ وَتَثۡبِيتٗا مِّنۡ أَنفُسِهِمۡ كَمَثَلِ جَنَّةِۭ بِرَبۡوَةٍ أَصَابَهَا وَابِلٞ فَـَٔاتَتۡ أُكُلَهَا ضِعۡفَيۡنِ فَإِن لَّمۡ يُصِبۡهَا وَابِلٞ فَطَلّٞۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٌ
Bakhilaf iske jo log apne maal mehaz Allah ki raza-joyi ke liye dil ke poorey sabaat o qarar (single-minded) ke saath kharch karte hain, unke kharch ki misaal aisi hai, jaise kisi satah martafa (plateau) par ek baagh ho , agar zoar ki baarish ho jaye to duguna(twofold) phal laye, aur agar zoar ki baarish na bhi ho to ek halki phawar (light shower) hi uske liye kafi ho jaye, tum jo kuch karte ho, sab Allah ki nazar mein hai