Surah Al-Baqara Verse 266 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraأَيَوَدُّ أَحَدُكُمۡ أَن تَكُونَ لَهُۥ جَنَّةٞ مِّن نَّخِيلٖ وَأَعۡنَابٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ لَهُۥ فِيهَا مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِ وَأَصَابَهُ ٱلۡكِبَرُ وَلَهُۥ ذُرِّيَّةٞ ضُعَفَآءُ فَأَصَابَهَآ إِعۡصَارٞ فِيهِ نَارٞ فَٱحۡتَرَقَتۡۗ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَتَفَكَّرُونَ
Kya tum mein se koi yeh pasand karta hai ke uske paas ek hara bhara baagh ho, nehron se sairaab, khajooron aur angooron aur har qism ke phalon se ladha hua, aur woh ain us waqt ek teiz baghule (fiery whirlwind) ki zard mein aakar jhulas jaye, jabke woh khud boodha ho aur uske kamsin (small) bacchey abhi kisi layaq na hon? Is tarah Allah apni baatein tumhare saamne bayan karta hai, shayad ke tum gaur o fikr karo