Surah Al-Baqara Verse 267 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَنفِقُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا كَسَبۡتُمۡ وَمِمَّآ أَخۡرَجۡنَا لَكُم مِّنَ ٱلۡأَرۡضِۖ وَلَا تَيَمَّمُواْ ٱلۡخَبِيثَ مِنۡهُ تُنفِقُونَ وَلَسۡتُم بِـَٔاخِذِيهِ إِلَّآ أَن تُغۡمِضُواْ فِيهِۚ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ غَنِيٌّ حَمِيدٌ
Aey logon jo iman laye ho, jo maal tumne kamaye hain aur jo kuch humne zameen se tumhare liye nikala hai, usmein se behtar hissa raah e khuda mein kharch karo, aisa na ho ke uski raah mein dene ke liye buri se buri cheez chaantne (pick out) ki koshish karne lago, halaanke wahi cheez agar koi tumhein dey to tum hargiz usey lena gawara na karoge illa yeh ke isko qabool karne mein tum igmaaz (disdain) barat jao, tumhein jaan lena chahiye ke Allah bay-niyaz hai aur behtareen sifaat se muttasif hai