Surah Al-Baqara Verse 255 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraٱللَّهُ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلۡحَيُّ ٱلۡقَيُّومُۚ لَا تَأۡخُذُهُۥ سِنَةٞ وَلَا نَوۡمٞۚ لَّهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۗ مَن ذَا ٱلَّذِي يَشۡفَعُ عِندَهُۥٓ إِلَّا بِإِذۡنِهِۦۚ يَعۡلَمُ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُمۡۖ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيۡءٖ مِّنۡ عِلۡمِهِۦٓ إِلَّا بِمَا شَآءَۚ وَسِعَ كُرۡسِيُّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَۖ وَلَا يَـُٔودُهُۥ حِفۡظُهُمَاۚ وَهُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡعَظِيمُ
Allah Taalaa hi mabood-e-bar haq hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab kay thamney wala hai jissay na oongh aaye na neend uss ki milkiyat mein zamin aur aasmanon ki tamam cheezen hain. Kaun hai jo uss ki ijazat kay baghair uss kay samney shifaat ker sakay woh janta hai jo inn kay samney hai aur jo inn kay peechay hai aur woh iss kay ilm mein say kissi cheez ka ehaata nahi ker saktay magar jitna woh chahaye uss ki kursi ki wusat ney zamin-o-aasman ko gher rakha hai aur Allah Taalaa inn ki hifazat say na thakta na uktata hai woh to boht buland aur boht bara hai