Surah Al-Baqara Verse 246 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraأَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلۡمَلَإِ مِنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ مِنۢ بَعۡدِ مُوسَىٰٓ إِذۡ قَالُواْ لِنَبِيّٖ لَّهُمُ ٱبۡعَثۡ لَنَا مَلِكٗا نُّقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ قَالَ هَلۡ عَسَيۡتُمۡ إِن كُتِبَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡقِتَالُ أَلَّا تُقَٰتِلُواْۖ قَالُواْ وَمَا لَنَآ أَلَّا نُقَٰتِلَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَقَدۡ أُخۡرِجۡنَا مِن دِيَٰرِنَا وَأَبۡنَآئِنَاۖ فَلَمَّا كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقِتَالُ تَوَلَّوۡاْ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
Kiya aap ney (hazrat) musa kay baad wali bani israeel ki jamat ko nahi dekha jab kay unhon ney apney payghumbar say kaha kay kissi ko humara badshah bana dijiye takay hum Allah ki raah mein jihad keren. Payghumbar ney kaha mumkin hai jihad farz hojaney kay baad tum jihad na kero unhon ney kaha bhala hum Allah ki raah mein jihad kiyon na keren gay? Hum to apney gharon say ujaray gaye hain aur bachon say door ker diye gaye hain. Phir jab unn per jihad farz hua to siwaye thoray say logon kay sab phir gaye aur Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai