Surah Al-Baqara Verse 246 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraأَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلۡمَلَإِ مِنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ مِنۢ بَعۡدِ مُوسَىٰٓ إِذۡ قَالُواْ لِنَبِيّٖ لَّهُمُ ٱبۡعَثۡ لَنَا مَلِكٗا نُّقَٰتِلۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۖ قَالَ هَلۡ عَسَيۡتُمۡ إِن كُتِبَ عَلَيۡكُمُ ٱلۡقِتَالُ أَلَّا تُقَٰتِلُواْۖ قَالُواْ وَمَا لَنَآ أَلَّا نُقَٰتِلَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَقَدۡ أُخۡرِجۡنَا مِن دِيَٰرِنَا وَأَبۡنَآئِنَاۖ فَلَمَّا كُتِبَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقِتَالُ تَوَلَّوۡاْ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۚ وَٱللَّهُ عَلِيمُۢ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
Phir tumne us maamle par bhi gaur kiya, jo Moosa ke baad sardaraan e bani Israel ko pesh aaya tha? Unhon ne apne Nabi se kaha: hamare liye ek baadshah muqarrar kardo taa-ke hum Allah ki raah mein jung karein, Nabi ne pucha : kahin aisa to na hoga ke tumko ladayi ka hukum diya jaye aur phir tum na lado? Woh kehne lagey : bhala yeh kaise ho sakta hai ke hum raah e khuda mein na ladein, jabke humein apne gharon se nikaal diya gaya hai aur hamare baal bacchey humse juda kardiye gaye hain? Magar jab unko jung ka hukum diya gaya to ek qaleel tadaad ke siwa woh sab peeth moad gaye, aur Allah unmein se ek ek zalim ko jaanta hai