Surah Al-Baqara Verse 247 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَقَالَ لَهُمۡ نَبِيُّهُمۡ إِنَّ ٱللَّهَ قَدۡ بَعَثَ لَكُمۡ طَالُوتَ مَلِكٗاۚ قَالُوٓاْ أَنَّىٰ يَكُونُ لَهُ ٱلۡمُلۡكُ عَلَيۡنَا وَنَحۡنُ أَحَقُّ بِٱلۡمُلۡكِ مِنۡهُ وَلَمۡ يُؤۡتَ سَعَةٗ مِّنَ ٱلۡمَالِۚ قَالَ إِنَّ ٱللَّهَ ٱصۡطَفَىٰهُ عَلَيۡكُمۡ وَزَادَهُۥ بَسۡطَةٗ فِي ٱلۡعِلۡمِ وَٱلۡجِسۡمِۖ وَٱللَّهُ يُؤۡتِي مُلۡكَهُۥ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٞ
Unke Nabi ne unse kaha ke Allah ne Talut ko tumhare liye baadshah muqarrar kiya hai, yeh sunkar woh bole : “humpar baadshah banney ka woh kaise haqqdaar hogaya? Uske muqable mein baadshahi ke hum zyada mustahiq hain, woh to koi bada maaldaar aadmi nahin hai”. Nabi ne jawab diya: “Allah ne tumhare muqable mein usi ko muntakhab kiya hai aur usko dimaagi o jismani dono kism ki ehliyatein farawani ke saath ata farmayi hain aur Allah ko ikhtiyar hai ke apna mulk jisey chahe dey, Allah badi wusat rakhta hai aur sabkuch uske ilm mein hai”