Surah Al-Baqara Verse 248 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَقَالَ لَهُمۡ نَبِيُّهُمۡ إِنَّ ءَايَةَ مُلۡكِهِۦٓ أَن يَأۡتِيَكُمُ ٱلتَّابُوتُ فِيهِ سَكِينَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَبَقِيَّةٞ مِّمَّا تَرَكَ ءَالُ مُوسَىٰ وَءَالُ هَٰرُونَ تَحۡمِلُهُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Iske saath unke Nabi ne unko yeh bhi bataya ke “khuda ki taraf se uske baadshah muqarrar honay ki alamat yeh hai ke uske ahad mein woh sandook tumhein wapas mil jayega, jismein tumhare Rubb ki taraf se tumhare liye sukoon e qalb ka samaan hai, jismein aale Moosa aur aale Haroon ke chodey huey tabarrukaat hain, aur jisko is waqt Farishte sambhale huey hain agar tum momin ho, to yeh tumhare liye bahut badi nishani hai