Surah Al-Baqara Verse 249 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraفَلَمَّا فَصَلَ طَالُوتُ بِٱلۡجُنُودِ قَالَ إِنَّ ٱللَّهَ مُبۡتَلِيكُم بِنَهَرٖ فَمَن شَرِبَ مِنۡهُ فَلَيۡسَ مِنِّي وَمَن لَّمۡ يَطۡعَمۡهُ فَإِنَّهُۥ مِنِّيٓ إِلَّا مَنِ ٱغۡتَرَفَ غُرۡفَةَۢ بِيَدِهِۦۚ فَشَرِبُواْ مِنۡهُ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۚ فَلَمَّا جَاوَزَهُۥ هُوَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَهُۥ قَالُواْ لَا طَاقَةَ لَنَا ٱلۡيَوۡمَ بِجَالُوتَ وَجُنُودِهِۦۚ قَالَ ٱلَّذِينَ يَظُنُّونَ أَنَّهُم مُّلَٰقُواْ ٱللَّهِ كَم مِّن فِئَةٖ قَلِيلَةٍ غَلَبَتۡ فِئَةٗ كَثِيرَةَۢ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ مَعَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Phir jab Talut laskar lekar chala, to usne kaha: “ek dariya par Allah ki taraf se tumhari aazmaish honay wali hai, jo uska pani piyega, woh mera saathi nahin. Mera saathi sirf woh hai jo ussey pyas na bujhaye, haan ek aadh chillu koi pee ley to pee ley”. Magar ek giroh e qaleel ke siwa woh sab us dariya se sairaab huey, phir jab Talut aur uske saathi musalman dariya paar karke aagey badey to unhon ne Talut se kehdiya ke aaj hum mein Jaaluth (goliath) aur uske lashkaron ka muqabla karne ki taaqat nahin hai, lekin jo log yeh samajhte thay ke unhein ek din Allah se milna hai, unhone ne kaha: “ baaraha aisa hua hai ke ek qaleel giroh Allah ke izan se ek badey giroh par gaalib aa gaya hai, Allah sabr karne walon ka saathi hai.”