Surah Al-Baqara Verse 217 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلشَّهۡرِ ٱلۡحَرَامِ قِتَالٖ فِيهِۖ قُلۡ قِتَالٞ فِيهِ كَبِيرٞۚ وَصَدٌّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَكُفۡرُۢ بِهِۦ وَٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَإِخۡرَاجُ أَهۡلِهِۦ مِنۡهُ أَكۡبَرُ عِندَ ٱللَّهِۚ وَٱلۡفِتۡنَةُ أَكۡبَرُ مِنَ ٱلۡقَتۡلِۗ وَلَا يَزَالُونَ يُقَٰتِلُونَكُمۡ حَتَّىٰ يَرُدُّوكُمۡ عَن دِينِكُمۡ إِنِ ٱسۡتَطَٰعُواْۚ وَمَن يَرۡتَدِدۡ مِنكُمۡ عَن دِينِهِۦ فَيَمُتۡ وَهُوَ كَافِرٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Log aap say hurmat walay maheenon mein laraee ki babat sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn mein laraee kerna bara gunah hai lekin Allah ki raah say rokna uss kay sath kufur kerna aur masjid-e-haram say rokna aur wahan kay rehney walon ko wahan say nikalna Allah kay nazdeek uss say bhi bara gunah hai yeh fitna qatal say bhi bara gunah hai yeh log tum say laraee bhiraee kertay hi rahen gay yahan tak kay agar hosakay to tumhen tumharay deen say murtid ker den aur tum mein say jo log apney deen say palat jayen aur issi kufur ki halat mein maren unn kay aemaal-e-duyawi aur ukhrawi sab ghaarat hojayen gay. Yeh log jahannumi hongay aur hamesha hamesha jahannum mein hi rahen gay