Surah Al-Baqara Verse 217 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلشَّهۡرِ ٱلۡحَرَامِ قِتَالٖ فِيهِۖ قُلۡ قِتَالٞ فِيهِ كَبِيرٞۚ وَصَدٌّ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَكُفۡرُۢ بِهِۦ وَٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَإِخۡرَاجُ أَهۡلِهِۦ مِنۡهُ أَكۡبَرُ عِندَ ٱللَّهِۚ وَٱلۡفِتۡنَةُ أَكۡبَرُ مِنَ ٱلۡقَتۡلِۗ وَلَا يَزَالُونَ يُقَٰتِلُونَكُمۡ حَتَّىٰ يَرُدُّوكُمۡ عَن دِينِكُمۡ إِنِ ٱسۡتَطَٰعُواْۚ وَمَن يَرۡتَدِدۡ مِنكُمۡ عَن دِينِهِۦ فَيَمُتۡ وَهُوَ كَافِرٞ فَأُوْلَـٰٓئِكَ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا وَٱلۡأٓخِرَةِۖ وَأُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Log puchte hain maah e haraam mein ladna kaisa hai? Kaho: ismein ladna bahut bura hai, magar raah e khuda se logon ko roakna aur Allah se kufr karna aur masjid e haram ka raasta khuda paraston par bandh karna aur haram ke rehne walon ko wahan se nikalna Allah ke nazdeek issey bhi zyada bura hai aur fitna khoon-rezi se shadeed-tar hai. Woh to tumse ladey hi jayenge hatta ke agar unka bas chale to tumhein is deen se pher le jayein (aur yeh khoob samajhlo ke) tum mein se jo koi is deen se phirega aur kufr ki haalat mein jaan dega, uske aamaal duniya aur aakhirat dono mein zaya ho jayenge, aisey sab log jahannumi hain aur hamesha jahannum hi mein rahenge