Surah Al-Baqara Verse 91 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraوَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ ءَامِنُواْ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ نُؤۡمِنُ بِمَآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا وَيَكۡفُرُونَ بِمَا وَرَآءَهُۥ وَهُوَ ٱلۡحَقُّ مُصَدِّقٗا لِّمَا مَعَهُمۡۗ قُلۡ فَلِمَ تَقۡتُلُونَ أَنۢبِيَآءَ ٱللَّهِ مِن قَبۡلُ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aur jab inn say kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utari hui kitab per eman lao to keh detay hain kay jo hum per utari gaee uss per humara eman hai. Halankay iss kay baad wali kay sath jo inn ki kitab ki tasdeeq kerney wali hai kufur kertay hain acha inn say yeh to daryaft keren kay agar tumhara eman pehli kitabon per hai to phir tum ney aglay anbiya ko kiyon qatal kiya