Surah Al-Baqara Verse 91 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ ءَامِنُواْ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ قَالُواْ نُؤۡمِنُ بِمَآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا وَيَكۡفُرُونَ بِمَا وَرَآءَهُۥ وَهُوَ ٱلۡحَقُّ مُصَدِّقٗا لِّمَا مَعَهُمۡۗ قُلۡ فَلِمَ تَقۡتُلُونَ أَنۢبِيَآءَ ٱللَّهِ مِن قَبۡلُ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Jab unse kaha jata hai ke jo kuch Allah ne nazil kiya hai uspar iman lao to woh kehte hain “hum to sirf us cheez par iman latey hain jo hamare haan (yani nasal e Israel) mein utri hai” is daiyre ke bahar jo kuch aaya hai usey maanne se woh inkar karte hain, halaanke woh haqq hai aur us taleem ki tasdeeq o taeed kar raha hai jo unke haan pehle se maujood thi. Accha, unse kaho : agar tum us taleem hi par iman rakhne waley ho jo tumhare haan aayi thi, to issey pehle Allah ke un paighambaron ko (jo khud bani Israel mein paida huey thay) kyun qatal karte rahey