Surah Al-Baqara Verse 228 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Baqaraوَٱلۡمُطَلَّقَٰتُ يَتَرَبَّصۡنَ بِأَنفُسِهِنَّ ثَلَٰثَةَ قُرُوٓءٖۚ وَلَا يَحِلُّ لَهُنَّ أَن يَكۡتُمۡنَ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ فِيٓ أَرۡحَامِهِنَّ إِن كُنَّ يُؤۡمِنَّ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ وَبُعُولَتُهُنَّ أَحَقُّ بِرَدِّهِنَّ فِي ذَٰلِكَ إِنۡ أَرَادُوٓاْ إِصۡلَٰحٗاۚ وَلَهُنَّ مِثۡلُ ٱلَّذِي عَلَيۡهِنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ وَلِلرِّجَالِ عَلَيۡهِنَّ دَرَجَةٞۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Tallaq wali aurten apney aap ko teen haiz tak rokay rakhen unhen halal nahi kay Allah ney unn kay reham mein jo paida kiya ho ussay chupayen agar unhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman ho unn kay khawind iss muddat mein unhen lota lenay kay pooray haq daar hain agar unn ka irada islaah ka ho. Aur aurton kay bhi wesay hi haq hain jaisay unn per mardon kay hain achai kay sath. Haan mardon ko aurton per fazeelat hai aur Allah Taalaa ghalib hai aur hikmat wala hai