Surah Al-Baqara Verse 228 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَٱلۡمُطَلَّقَٰتُ يَتَرَبَّصۡنَ بِأَنفُسِهِنَّ ثَلَٰثَةَ قُرُوٓءٖۚ وَلَا يَحِلُّ لَهُنَّ أَن يَكۡتُمۡنَ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ فِيٓ أَرۡحَامِهِنَّ إِن كُنَّ يُؤۡمِنَّ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۚ وَبُعُولَتُهُنَّ أَحَقُّ بِرَدِّهِنَّ فِي ذَٰلِكَ إِنۡ أَرَادُوٓاْ إِصۡلَٰحٗاۚ وَلَهُنَّ مِثۡلُ ٱلَّذِي عَلَيۡهِنَّ بِٱلۡمَعۡرُوفِۚ وَلِلرِّجَالِ عَلَيۡهِنَّ دَرَجَةٞۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Jin auraton ko talaq di gayi ho woh teen martaba ayaam e mahwari aane tak apne aap ko rokey rakkhein aur unke liye yeh jayiz nahin hai ke Allah ne unke reham (womb) mein jo kuch khalq (paida) farmaya ho usey chupayein. Unhein hargiz aisa na karna chahiye agar woh Allah aur roz e aakhir par iman rakhti hain. Unke shohar taaluqaat durust karlene par aamada hon to woh is iddat ke dauraan mein unhein phir apni zawjiyat mein wapas le lene ke haqdaar hain. Auraton ke liye bhi maroof tareeqe par waise hi huqooq hain jaise Mardon ke huqooq unpar hain. Albatta Mardon ko unpar ek darja hasil hai aur sab par Allah gaalib iqtedar rakhne wala aur hakeem o dana maujood hai