Surah Al-Baqara Verse 229 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِۖ فَإِمۡسَاكُۢ بِمَعۡرُوفٍ أَوۡ تَسۡرِيحُۢ بِإِحۡسَٰنٖۗ وَلَا يَحِلُّ لَكُمۡ أَن تَأۡخُذُواْ مِمَّآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ شَيۡـًٔا إِلَّآ أَن يَخَافَآ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِۖ فَإِنۡ خِفۡتُمۡ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَا فِيمَا ٱفۡتَدَتۡ بِهِۦۗ تِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِ فَلَا تَعۡتَدُوهَاۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ ٱللَّهِ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Talaq do baar hai, phir ya to seedhi tarah aurat ko rok liya jaye ya bhale tareeqe se usko rukhsat kardiya jaye, aur rukhsat karte huey aisa karna tumhare liye jayiz nahin hai ke jo kuch tum unhein de chuke ho, usmein se kuch wapas lelo, albatta yeh surat mustasna hai ke zawjain ko Allah ke hudood par qayam na reh sakne ka andesha ho, aisi surat mein agar tumhein yeh khauf ho ke woh dono hudood e ilahi par qayam na rahenge, to un dono ke darmiyan yeh maamla ho janey mein muzahiqa nahin ke aurat apne shohar ko kuch muawaza dekar alaidagi (seperation) hasil karle, yeh Allah ke muqarrar karda huddod hain, inse tajawuz na karo, aur jo log hudood e ilahi se tajawuz karein wahi zalim hain