Surah Al-Baqara Verse 230 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraفَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعۡدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوۡجًا غَيۡرَهُۥۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيۡهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِۗ وَتِلۡكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Phir agar (do baar talaq dene ke baad shohar ne aurat ko teesri baar) talaq de di to woh aurat phir uske liye halal na hogi, illa yeh ke uska Nikah kisi dusre shaks se ho aur woh usey talaq dede, tab agar pehla shohar aur yeh aurat dono yeh khayal karein ke hudood e ilahi par qayam rahenge, to unke liye ek dusre ki taraf rujoo karlene mein koi muzahiqa nahin. Yeh Allah ki muqarrar karda hadein hain jinhein woh un logon ki hidayat ke liye wazey kar raha hai jo (uski hudood ko todne ka anjaam) jaante hain