Surah Al-Baqara Verse 231 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذَا طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَبَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَأَمۡسِكُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٍ أَوۡ سَرِّحُوهُنَّ بِمَعۡرُوفٖۚ وَلَا تُمۡسِكُوهُنَّ ضِرَارٗا لِّتَعۡتَدُواْۚ وَمَن يَفۡعَلۡ ذَٰلِكَ فَقَدۡ ظَلَمَ نَفۡسَهُۥۚ وَلَا تَتَّخِذُوٓاْ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ هُزُوٗاۚ وَٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَمَآ أَنزَلَ عَلَيۡكُم مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَٱلۡحِكۡمَةِ يَعِظُكُم بِهِۦۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Aur jab tum auraton ko talaq dedo aur unki iddat poori honay ko aa jaye, to ya bhale tareeqe se unhein rok lo ya bhale tareeqe se rukhsat kardo, mehaz satane ki khatir unhein na rokey rakhna, yeh zyadati hogi, aur jo aisa karega woh dar haqeeqat aap apne hi upar zulm karega. Allah ki ayaat ka khel na banao, bhool na jao ke Allah ne kis niyamat e uzma se tumhein sarfaraz kiya hai, woh tumhein naseehat karta hai ke jo kitab aur hikmat usne tumpar nazil ki hai, uska ehtaram malhooz rakkho. Allah se daro aur khoob jaan lo ke Allah ko har baat ki khabar hai