Surah Al-Baqara Verse 232 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَإِذَا طَلَّقۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَبَلَغۡنَ أَجَلَهُنَّ فَلَا تَعۡضُلُوهُنَّ أَن يَنكِحۡنَ أَزۡوَٰجَهُنَّ إِذَا تَرَٰضَوۡاْ بَيۡنَهُم بِٱلۡمَعۡرُوفِۗ ذَٰلِكَ يُوعَظُ بِهِۦ مَن كَانَ مِنكُمۡ يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِۗ ذَٰلِكُمۡ أَزۡكَىٰ لَكُمۡ وَأَطۡهَرُۚ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ وَأَنتُمۡ لَا تَعۡلَمُونَ
Jab tum apni auraton ko talaq de chuko aur woh apni iddat poori karlein, to phir ismein maney na ho ke woh apne zerey tajweej shoharon se nikah karlein, jab ke woh maroof tareeqe se baham munakihat (marriage) par raazi hon. Tumhein naseehat ki jati hai ke aisi harakat hargiz na karna agar tum Allah aur roz e aakhir par iman laney wale ho, tumhare liye shaishta aur pakeeza tareeqa yahi hai ke issey baaz raho. Allah jaanta hai, tum nahin jaante