Surah Aal-e-Imran Verse 144 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranوَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٞ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِ ٱلرُّسُلُۚ أَفَإِيْن مَّاتَ أَوۡ قُتِلَ ٱنقَلَبۡتُمۡ عَلَىٰٓ أَعۡقَٰبِكُمۡۚ وَمَن يَنقَلِبۡ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِ فَلَن يَضُرَّ ٱللَّهَ شَيۡـٔٗاۚ وَسَيَجۡزِي ٱللَّهُ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Muhammad iske siwa kuch nahin ke bas ek Rasool hain, unsey pehle aur Rasool bhi guzar chuke hain. Phir kya agar woh marr jayein ya qatal kardiye jayein to tum log ultey paon phir jaogey? Yaad rakkho! Jo ulta phir gaya woh Allah ka kuch nuksaan na karega, albatta jo Allah ke shukarguzar banday bankar rahenge unhein woh iski jaza dega