Surah Aal-e-Imran Verse 186 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imran۞لَتُبۡلَوُنَّ فِيٓ أَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡ وَلَتَسۡمَعُنَّ مِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَمِنَ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُوٓاْ أَذٗى كَثِيرٗاۚ وَإِن تَصۡبِرُواْ وَتَتَّقُواْ فَإِنَّ ذَٰلِكَ مِنۡ عَزۡمِ ٱلۡأُمُورِ
(Musalmaano)! Tumhein maal aur jaan dono ki aazmaishein pesh aakar rahengi, aur tum ehle kitab aur mushrikeen se bahut se takleef-de baatein sunogey. Agar in sab haalat mein tum sabr aur khuda tarsi ki rawish par qayam raho to yeh baday hausle ka kaam hai