Surah Aal-e-Imran Verse 23 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranأَلَمۡ تَرَ إِلَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ نَصِيبٗا مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِ يُدۡعَوۡنَ إِلَىٰ كِتَٰبِ ٱللَّهِ لِيَحۡكُمَ بَيۡنَهُمۡ ثُمَّ يَتَوَلَّىٰ فَرِيقٞ مِّنۡهُمۡ وَهُم مُّعۡرِضُونَ
Tumne dekha nahin ke jin logon ko kitab ke ilm mein se kuch hissa mila hai, unka haal kya hai? Unhein jab kitab e ilahi ki taraf bulaya jata hai taa-ke woh unke darmiyan faisla karey, to unmein se ek fareeq issey pehlu-tahi (turns away) karta hai aur is faisle ki taraf aane se mooh pher jata hai