Surah Aal-e-Imran Verse 191 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Aal-e-Imranٱلَّذِينَ يَذۡكُرُونَ ٱللَّهَ قِيَٰمٗا وَقُعُودٗا وَعَلَىٰ جُنُوبِهِمۡ وَيَتَفَكَّرُونَ فِي خَلۡقِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ رَبَّنَا مَا خَلَقۡتَ هَٰذَا بَٰطِلٗا سُبۡحَٰنَكَ فَقِنَا عَذَابَ ٱلنَّارِ
Jo uthte, baithte aur latetey, har haal mein khuda ko yaad karte hain aur asmaan o zameen ki saakht (creation) mein gaur o fikr karte hain. (Woh be-ikhtiyar bol uthte hain) “ parwardigar! Yeh sab kuch tu nay fizul aur be-maqsad nahin banaya hai, tu paak hai issey ke abas (bekar / in vain) kaam karey. Pas aey Rubb! Humein dozakh ke azaab se bacha le