Surah Al-Maeda Verse 17 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaلَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ أَن يُهۡلِكَ ٱلۡمَسِيحَ ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗاۗ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai