Surah Al-Maeda Verse 17 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaلَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ أَن يُهۡلِكَ ٱلۡمَسِيحَ ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗاۗ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Yaqeenan kufr kiya un logon ne jinhon ne kaha Maseeh ibn Mariyam khuda hai. (Aey Muhammad)! Inse kaho ke agar khuda Maseeh Ibn Mariyam ko aur uski Maa aur tamaam zameen walon ko halaak kardena chahe to kiski majaal hai ke usko is irade se baaz rakh sakey? Allah to zameen aur aasmano ka aur un sab cheezon ka malik hai jo zameen aur aasmano ke darmiyan payi jati hain, jo kuch chahta hai paida karta hai aur uski qudrat har cheez par haawi hai