Surah Al-Maeda Verse 89 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaلَا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِيٓ أَيۡمَٰنِكُمۡ وَلَٰكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا عَقَّدتُّمُ ٱلۡأَيۡمَٰنَۖ فَكَفَّـٰرَتُهُۥٓ إِطۡعَامُ عَشَرَةِ مَسَٰكِينَ مِنۡ أَوۡسَطِ مَا تُطۡعِمُونَ أَهۡلِيكُمۡ أَوۡ كِسۡوَتُهُمۡ أَوۡ تَحۡرِيرُ رَقَبَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖۚ ذَٰلِكَ كَفَّـٰرَةُ أَيۡمَٰنِكُمۡ إِذَا حَلَفۡتُمۡۚ وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَٰنَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Allah Taalaa tumhari qasmon mein laghv qasam per tum say moaakhiza nahi farmata lekin moaakhiza uss per farmata hai kay tum jin qasmon ko mazboot ker do. Iss ka kaffaara das mohtajon kko khana dena hai osat darjay ka jo apney ghar walon ko khilatay ho ya unn ko kapra dena ya aik ghulam ya londi aazad kerna hai aur jiss ko maqdoor na ho to teen din kay rozay hain yeh tumhari qasmon ka kaffaara hai jabkay tum qasam kha lo aur apni qasmon ka khayal rakho1 issi tarah Allah Taalaa tumharay wastay apney ehkaam biyan farmata hai takay tum shukar kero