Surah Al-Maeda Verse 89 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maedaلَا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِيٓ أَيۡمَٰنِكُمۡ وَلَٰكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا عَقَّدتُّمُ ٱلۡأَيۡمَٰنَۖ فَكَفَّـٰرَتُهُۥٓ إِطۡعَامُ عَشَرَةِ مَسَٰكِينَ مِنۡ أَوۡسَطِ مَا تُطۡعِمُونَ أَهۡلِيكُمۡ أَوۡ كِسۡوَتُهُمۡ أَوۡ تَحۡرِيرُ رَقَبَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖۚ ذَٰلِكَ كَفَّـٰرَةُ أَيۡمَٰنِكُمۡ إِذَا حَلَفۡتُمۡۚ وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَٰنَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Allah ta’ala tumhaari qasmo mein lagho qasam par tum se mu-aaqeza13 nahi farmaata, lekin mu-aaqeza us par farmaata hai, ke tum jin qasmo ko mazbooth kardo, us ka kaffaara das muhtaajo ko khaana dena hai, ausad darje ka jo apne ghar waalo ko khilaate ho ya un ko kapda dena ya ek ghulaam ya laundi ko azaad karna hai, aur jis ko maqdoor14 na ho to teen din ke roze hai, ye tumhaari qasmo ka kaffaara hai, jab ke tum qasam khaalo aur apni qasmo ka qayaal rakho! isi tarah Allah ta’ala tumhaare waaste apne ehkaam bayaan farmaata hai, ta ke tum shukr karo