Surah Al-Maeda Verse 89 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaلَا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِيٓ أَيۡمَٰنِكُمۡ وَلَٰكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا عَقَّدتُّمُ ٱلۡأَيۡمَٰنَۖ فَكَفَّـٰرَتُهُۥٓ إِطۡعَامُ عَشَرَةِ مَسَٰكِينَ مِنۡ أَوۡسَطِ مَا تُطۡعِمُونَ أَهۡلِيكُمۡ أَوۡ كِسۡوَتُهُمۡ أَوۡ تَحۡرِيرُ رَقَبَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖۚ ذَٰلِكَ كَفَّـٰرَةُ أَيۡمَٰنِكُمۡ إِذَا حَلَفۡتُمۡۚ وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَٰنَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Tum log jo mohmal (utter vainly) kasamein kha lete ho unpar Allah giraft nahin karta, magar jo kasamein tum jaan boojh kar khate ho unpar woh tumse zaroor mawaqeza (take you to task) karega. (Aisi kasam toadne ka) kaffara yeh hai ke dus miskeeno ko woh awsat (average) darje ka khana khilao jo tum apne baal bacchon ko khilate ho, ya unhein kapde pehnao, ya ek gulaam azad karo, aur jo iski istitaat (capability) na rakhta ho woh teen din ke roze rakkhe. Yeh tumhari kasamon ka kaffara hai jabke tum kasam kha kar toad do. Apni kasamon ki hifazat kiya karo, is tarah Allah apne ehkaam tumhare liye wazeh karta hai shayad ke tum shukar ada karo