Surah Al-Maeda Verse 3 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maedaحُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةُ وَٱلدَّمُ وَلَحۡمُ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦ وَٱلۡمُنۡخَنِقَةُ وَٱلۡمَوۡقُوذَةُ وَٱلۡمُتَرَدِّيَةُ وَٱلنَّطِيحَةُ وَمَآ أَكَلَ ٱلسَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّيۡتُمۡ وَمَا ذُبِحَ عَلَى ٱلنُّصُبِ وَأَن تَسۡتَقۡسِمُواْ بِٱلۡأَزۡلَٰمِۚ ذَٰلِكُمۡ فِسۡقٌۗ ٱلۡيَوۡمَ يَئِسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن دِينِكُمۡ فَلَا تَخۡشَوۡهُمۡ وَٱخۡشَوۡنِۚ ٱلۡيَوۡمَ أَكۡمَلۡتُ لَكُمۡ دِينَكُمۡ وَأَتۡمَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ نِعۡمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلۡإِسۡلَٰمَ دِينٗاۚ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ فِي مَخۡمَصَةٍ غَيۡرَ مُتَجَانِفٖ لِّإِثۡمٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
tum par haraam kiya gaya murdar aur qoon aur qinzir ka gosht aur jis par Allah ke siva dosre ka nam pukara gaya ho,aur jo gala ghutne se mara ho, aur jo kisi zarb se mar gaya ho, aur jo onchi jagah se gir kar mara ho, aur jo kisi ke sing marne se mara ho,aur jise darindo ne phad khaya ho,lekin ose tum zubah kar dalo tuh haraam nahi,aur jo astano par zubah kiya gaya ho,aur ye ke qura ke tiro se faal-geri karo, ye sub budhtarin gunah hai,aaj kuffar tumhare deen se na’ummid ho gae,qabardar!tum un se na darna aur mujh se darte rehna,aaj mein ne tumhare liye deen ko kamil kar diya aur tum par apna in’aam bharpor kar diya aur tumhare liye Islam ke deen hone par raza mand ho gaya,pus jo shaqs shiddath ki bhok mein be-qarar ho jae,basharth ye ke kisi gunah ki taraf us ka mailan na ho,tuh yaqinan Allah tala maaf karne wala aur bahuth bada meherban hai