Surah Al-Maeda Verse 2 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحِلُّواْ شَعَـٰٓئِرَ ٱللَّهِ وَلَا ٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَلَا ٱلۡهَدۡيَ وَلَا ٱلۡقَلَـٰٓئِدَ وَلَآ ءَآمِّينَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّهِمۡ وَرِضۡوَٰنٗاۚ وَإِذَا حَلَلۡتُمۡ فَٱصۡطَادُواْۚ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ أَن صَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ أَن تَعۡتَدُواْۘ وَتَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَلَا تَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Aey logon jo iman laye ho, khuda parasti ki nishaniyon ko be-hurmat na karo, na haram mahino(months) mein se kisi ko halal karlo, na qurbaani ke jaanwaron par dast darazi karo, na un jaanwaron par haath daalo jinki gardano mein nazar e khuda-wandi ki alamat ke taur par pattey padey (wearing collars) huey hon, na un logon ko chedo jo apne Rubb ke fazal aur uski khushnudi ki talash mein makaan-e-mohtaram (kaaba) ki taraf jaa rahey hon. Haan jab ehram ki halat khatam ho jaye to shikar tum kar sakte ho aur dekho ek giroh ne jo tumhare liye masjid e haraam ka rasta bandh kardiya hai to ispar tumhara gussa tumhein itna mushtail na karde ke tum bhi unke muqable mein narawa zyadatiyan karne lago. Nahin! Jo kaam neki aur khuda tarsi ke hain un sab mein taawun (help one another) karo aur jo gunaah aur zyadati ke kaam hain unmein kisi se taawun (help one another) na karo. Allah se daro, uski saza bahut sakht hai