Surah Al-Maeda Verse 12 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maeda۞وَلَقَدۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَبَعَثۡنَا مِنۡهُمُ ٱثۡنَيۡ عَشَرَ نَقِيبٗاۖ وَقَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مَعَكُمۡۖ لَئِنۡ أَقَمۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَيۡتُمُ ٱلزَّكَوٰةَ وَءَامَنتُم بِرُسُلِي وَعَزَّرۡتُمُوهُمۡ وَأَقۡرَضۡتُمُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا لَّأُكَفِّرَنَّ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَلَأُدۡخِلَنَّكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ فَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
aur Allah tala ne bani israel se ahad wa paima liya aur unhee mein se baara sardar hum ne muqarrar farmae, aur Allah tala ne farma diya ke yaqinan main tumhare sath hoon, agar tum namaz qayam rakhoge aur zakath dete rahoge aur mere rasulo ko mante rahoge aur un ki madad karte rahoge aur Allah tala ko behtar qarz dete rahoge,tuh yaqinan main tumhari boraiya tum se door rakhonga aur tumhe un jannato mein le jaonga jin ke niche chashme beh rahe hai,ab us ahad wa paima ke badh bhi tum mein se jo inkari ho jae,wo yaqinan rahe rasth se bhatak gaya