Surah Al-Maeda Verse 12 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maeda۞وَلَقَدۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَبَعَثۡنَا مِنۡهُمُ ٱثۡنَيۡ عَشَرَ نَقِيبٗاۖ وَقَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مَعَكُمۡۖ لَئِنۡ أَقَمۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَيۡتُمُ ٱلزَّكَوٰةَ وَءَامَنتُم بِرُسُلِي وَعَزَّرۡتُمُوهُمۡ وَأَقۡرَضۡتُمُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا لَّأُكَفِّرَنَّ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَلَأُدۡخِلَنَّكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ فَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
Allah ne bani Israel se pukhta ahad liya tha aur in mein barah (twelve) naqeeb(leaders) muqarrar kiye thay aur unse kaha tha ke “main tumhare saath hoon, agar tumne namaz qayam rakkhi aur zakaat di aur mere Rasoolon ko maana ar unki madad ki aur apne khuda ko accha qarz dete rahey to yaqeen rakkho ke main tumhari buraiyan tumse zayal (wipe out) kardunga aur tumko aisey baaghon (gardens) mein dakhil karunga jinke nichey nehrein behti hongi, magar iske baad jisne tum mein se kufr ki rawish ikhtiyar ki to dar haqeeqat usne swa-sabeel gum kardi (gone astray from the right way)”