Surah Al-Maeda Verse 13 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaفَبِمَا نَقۡضِهِم مِّيثَٰقَهُمۡ لَعَنَّـٰهُمۡ وَجَعَلۡنَا قُلُوبَهُمۡ قَٰسِيَةٗۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ عَن مَّوَاضِعِهِۦ وَنَسُواْ حَظّٗا مِّمَّا ذُكِّرُواْ بِهِۦۚ وَلَا تَزَالُ تَطَّلِعُ عَلَىٰ خَآئِنَةٖ مِّنۡهُمۡ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۖ فَٱعۡفُ عَنۡهُمۡ وَٱصۡفَحۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Phir yeh unka apne ahad ko toad daalna tha jiski wajah se humne unko apni rehmat se door phenk diya aur unke dil sakht kardiye. Ab unka haal yeh hai ke alfaz ka ulat pher karke baat ko kahin se kahin le jatey hain, jo taleem inhein di gayi thi uska bada hissa bhool chuke hain, aur aaye din tumhein unki kisi na kisi khayanat ka pata chalta rehta hai. Inmein se bahut kam log is aib(burayi) se bachey huey hain, [pas jab yeh is haal ko pahunch chuke hain to jo shararatein bhi yeh karein woh inse ain mutwaqqe (expected) hain, lihaza inhein maaf karo aur inki harakat se chasm-poshi (overlook) karte raho. Allah un logon ko pasand karta hai jo ehsan ki rawish rakhte hain