Surah Al-Maeda Verse 93 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaلَيۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جُنَاحٞ فِيمَا طَعِمُوٓاْ إِذَا مَا ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّأَحۡسَنُواْۚ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Jo log iman le aaye aur neik amal karne lagey unhon ne pehle jo kuch khaya piya tha uspar koi giraft na hogi, bashart-e-ke woh aainda un cheezon se bachey rahein jo haraam ki gayi hain aur iman par sabit qadam rahein aur acchey kaam karein. Phir jis jis cheez se roka jaye ussey rukein aur jo farmaan e ilahi ho usey maanein, phir khuda tarsi ke saath neik rawayya rakkhein, Allah neik kirdar logon ko pasand karta hai