Surah Al-Maeda Verse 4 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaيَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَآ أُحِلَّ لَهُمۡۖ قُلۡ أُحِلَّ لَكُمُ ٱلطَّيِّبَٰتُ وَمَا عَلَّمۡتُم مِّنَ ٱلۡجَوَارِحِ مُكَلِّبِينَ تُعَلِّمُونَهُنَّ مِمَّا عَلَّمَكُمُ ٱللَّهُۖ فَكُلُواْ مِمَّآ أَمۡسَكۡنَ عَلَيۡكُمۡ وَٱذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهِۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
Log puchte hain ke unke liye kya halal kiya gaya hai, kaho tumhare liye sari paak cheezein halal kardi gayi hain aur jin shikari jaanwaron ko tumne sadhaya ho (teach, training them to hunt) jinko khuda ke diye huey ilam ki bina par tum shikar ki taleem diya karte ho, woh jis jaanwar ko tumhare liye pakad rakkhein usko bhi tum kha sakte ho, albatta uspar Allah ka naam lelo aur Allah ka kanoon todne se daro.Allah ko hisaab lete kuch dair nahin lagti